Sunday 15 October 2017

Lalit Kumar's Beautiful Poem : Rango(n) Jaise Log

Rango(n) Jaise Log.......Nahi Hote

by Lalit Kumar


Dil ki aarzoo hai ki mile koi
jiski kaifiyat rango(n) si ho
jo mil jaye ek duje me 
to phir kabhi juda na ho

phir naa apni koi shakhsiyat rahe
aur naa hi apne sapne
"mera" apna kuch bhi na rahe
jo bhi ho bas "hamara" ho
naa main usse alag houn
naa wo mujhse nyaara ho

do jism ek jaan bane
do mann par ek khwaab ho(n)
zindagi ke sabhi sawaalon ka
"hum" mil kar ek jawaab ho(n)

lekin milte kahan hain aise log
koi kisi ka hona hi nahi chahta
khud ko mitaa kar koi
duje me khona hi nahi chahta

aaj "main" ka daur hai
"hum" ka ab zamaana nahi raha
paisa, sohrat hi sab kuch hai
pyaar khushi ka paimaana nahi raha

saath chalte humrahi bhi ab 
alag alag raah apnaate hain
rang jab lekin milte hain
to aapas me bandh jaate hain

ab to log humsafar bhi ho(n)
to bhi sabka juda juda hi rasta hai
bandhan to ab jaise
lafze gaali lagta hai

log ab rango(n) ki tarah nahi milte
milte hain tel aur paani ki tarah
bhalaa janmo(n) ka mel kya hota hai
ab to rishte hain nakshe-faani ki tarah

kaash !
koi ek mujhe
rango(n) sa mil jaata




Lalit Kumar: Man behind Kavita Kosh

Lalit Kumar : Interview with Doordarshan 



Boundary and limit are the terms unknown to the founder of Kavita Kosh and Gadya Kosh, Mr. Lalit Kumar. An empathetic poet himself sharing his journey with doordarshan. 



Kitabnama: Episode 28